Mazoon ud-Da'wat Haatim Zakiyuddin Saheb
Baroda shehr hai Gujarat ke shehro ka taaj,
Yaha ke log hai munsif nahi badalte mizaaj.
Adab me ‘aql me seerat me aur khaslat me,
Karam me ek se badhkar hai ek iska samaaj.
Ye ‘ilm-o-fan ka hai markaz chaarsu shohrat,
Hai shaahid iske fazal ka Sayaji Rao ka raaj.
Taraqqiyo ki manaazil pa qadam isne rakha,
Tijaarato mai nahi koi iska saani aaj.
Diwali ho ya ho Holi, Moharram ho ya ho Eid,
Manaate hai sabhi amn-o-amaa se rasm-o- riwaaj.
Khuda ya fazl tera is shehr pe naazil ho,
Khiza kit und hawa iska na bujha de siraaj.
Dilo me aaj hai be-chaini ghar me be-kaari,
Ye marz aise hai jiska nahi hai koi ‘elaaj.
Hame to fakhr hai Bhagyesh Jha par kaamil,
Ye sahel karte hai mushkil sa jab bhi hota hai kaaj.
Kiya hai mulk ko aazaad zulm ko sehkar,
Na sar pa Gandhiji ke taaj tha bane sartaaj.
Shareek-e-bazm-e-sakhun hai shah-e-Ziyauddin,
Qubool kije ye Haatim ka ‘aqeedat ka khiraaj.
Mulla Qurbaan Husain Gunniwala
Suku dil ka aankho ka tara Baroda,
Zamee par hai Ganga ka dhaara Baroda.
Ha mil-jul ke rehte hai is shehr me sab,
Ajab sab me hai bhai-chara Baroda.
Barode ki raunaq kin aankho se dekho,
Nazaara hi hai sab nazaara Baroda.
Paraishaan aaya hai jo bhi yaha par,
Tu uska bana hai sahaara Baroda.
Har ek fard is shehr ka keh raha hai,
Ke hamko to hai jaa se pyaara Baroda.
Jo bhi is shehr me aaya bola woh haskar,
Tumhaara tha kal aaj hamaara Baroda.
Tere waste ja fida apni kar du,
Yahi dil se Kausar pukaara Baroda.
.
Mulla Abbasali Tinwala
Har waqt har ghadi yahi kehta hai mera man,
Hai jaan se pyaara mujhe Hindustaa watan.
Hindu wa Musalmaan, Sikh aur Isaaii bhi,
In phulo ki khushbu se mahakta hai ye chaman.
Mil-jul rahe aapas mai Hindu wa Musalmaa,
Bharat ki aankho ke yahi anmol hai ratan.
Policy aaj-kal ke ye netaoo ki dekho,
Khursi ke liye laasho ke hai bechte kafan.
Murder kahi, Terror kahi, ghotaale kahi par,
Khote ye sabhi sikko ka hai aaj-kal chalan.
Saare ye anishto ko hataana hai dosto,
Hogi hamaari jeet hai sachchi agar lagan.
Silicon Valley ban gaya Bangalore hai aaj-kal,
Bharat mera mahaan hai IT mai number one.
Duniya pukaar uththe ke ye India hai best,
Mil-jul ke ay Abbas kare aisa kuch jatan.