|
|
Roza hai Ahmedabad me Saiyedna Ali ka.
Jaari hai faiz aaj bhi Saiyedna Ali ka.
|
|
|
Roza ka kyun na inke farishte
kare adab,
Marna Ali ki shaan ka Saiyedna Ali ka. |
|
|
Mehfil me inki sift-o-sanaa
kyun na ho bayaa,
Urs aayaa dekho lautke Saiyedna Ali ka.
|
|
|
|
|
Haajat ko puri kar diya, gham
ko mita diya,
Khaali sawaali jaaye na Saiyedna Ali ka. |
|
|
Sar par mere balaao ka naam-o-nashaa nahi,
Mai ne jo naam le liya Saiyedna Ali ka. |
|
|
|
|
Maidaan-e-hashr me ho shafaa'at
ka woh haqqdaar,
Daaman ho jiske haath me Saiyedna Ali ka. |
|
|
Maula Ziyauddin ki ho umr tool ae Kareem,
Masnad hai Alavi, da'i hai Saiyedna Ali ka.
|
|